Ham sada hi aise the . . .
Page 1 of 1
Ham sada hi aise the . . .
ham sada hi aise the, k yun hi pazirai
jis bar khizan ai, samjahe k bahar ai
ashob-e-nazar se ki hamne chamn-arai
jo shay bhi nazar ai gul-rang nazar ai
ummid-e-talattuf main ranjida rahe donon
tu aur teri mahfil main aur meri tanhai
wan millat-e-bul-hawasan aur shor-e-wafajui
yan khilwat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-rusawai
yak-jan na ho sakiye anjana ban sakiye
yon tut gai dil main shamshir-e-shanasai
is tan ki taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakha hai maqtal main ai chashm-e-tamashai . . .

Nomi391- Posts : 13
Join date : 2013-05-25
Age : 35
Location : Dammam , Saudia
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|